Sai Hari Katha(Hindi)

Author:

Rabindranath Kakariya

Publisher:

Sterling Publishers Pvt Ltd.

Rs367 Rs399 8% OFF

Availability: Available

Shipping-Time: Usually Ship 3- 5 Days

    

Rating and Reviews

0.0 / 5

5
0%
0

4
0%
0

3
0%
0

2
0%
0

1
0%
0
Publisher

Sterling Publishers Pvt Ltd.

ISBN-13

9788120733237

ISBN-10 9788120733237
Binding

Paperback

Language (Hindi)
Dimensions (Cms) 21.5 x 14 x 1
Weight (grms) 180
Dasganu Maharaj ne bhaktisaramrit, bhaktileelamrit, santkathamrit namak teen grantho ki rachna kee jimein mahan aadhunik santo kee jeevani aur unke amulya updeshon ko sangrahit kiya. Inn granthon mein se Shirdi Sai Baba se sambandhit saat adhyayo ko sanjo kar 'Sai Hari Katha' pustak ka roop diya gaya hai. Iss pustak mein baba ke jeevankaal ke aarambh ke dino, guru ke saath pravaas, Shirdi aagaman aur janmanas ko adhyatmik va sansarik vishyon se sambandhit jankari dee gayi hai. Sai bhakto aur shodhkartaon ke liye yeh pustak mulyawaan siddh hogi. Dasganu maharaj ka asali naam Ganpat Rao Dattatrey Sahashrabuddhe tha. Weh constable ke roop mein karyarat ho sansarik vishayo mein lipt wa santusht they. Sai baba unka adhyatmik vikas karna chahte the isliye unhone unhe apni sharan me liya. Jagat ke raas-rang tyag dasganu sai bhakt kee aor unmukh huye. Apne bhajan-kirtan dwara dasganu jee ne baba ke naam ko Maharastra ke ghar-ghar tak pahuchaya. Unhone kai grantho aur padon ki rachna kee. Unke dwara rachit pad "Shirdi Majhe Pandharpur", "Sai Raham Nazar Karna", "Raham Nazar Karo" ko Sai Baba ki aarti me gaya jata hai. Jab-Jab aur jahan-jahan bhi baba ki aarti gayi jaati hai, dasganu maharaj ko wahan avashya yaad kiya jaata hai.

Rabindranath Kakariya

No Review Found
More from Author